Wednesday 30 December 2015

Cucumber Benefits in Urdu and Hindi






Image result for Cucumber Benefits in Urdu and Hindi

Cucumber is one of the oldest cultivated crops and the fourth most cultivated vegetable in the world. Cucumber has an impressive amount of water (about 96%). Cucumber is a summer vegetable. The weather is warm enough to grow it needs. There are different types of cucumber worldwide. There are 100 types of cucumber sale in worldwide. Cucumbers there is sufficient water in your body moisture provides. Cucumber should be used more in the summer. Cucumbers production is too high, it provides our body cooling and refreshing.
Here are some benefits of cucumbers
Eat cucumber, and your body gets relief from heartburn. Apply cucumber on your skin, and you get relief from sunburn.
Cucumber contain vitamin K which approximately half of vitamin K found in its peel. So keep the peel on for maximal health benefits. Vitamin K help the building bone, as well as other tissues of the body. 
cucumber contain so many useful ingredients which help you in treating so many skin problems.There are several face masks that contain cucumbers, which will help your skin to look its best.Cucumbers help reduce weight. You can read and get knowledge about cucumber benefits in urdu, cucumber benefits in hindi, kheere ke faide in urdu, kheera ke fayde, kheere ki fawaid.


Kheere ke Faide, fayde 


Image result for Cucumber Benefits in Urdu and Hindi

Kheere ki kasht bohut qadeem hai. Andaza laga ya gia keh isay sab say pehlay Barma aur Thailand kay elaqay mein kasht kia gia tha. Yeh mausam e garma ki sabzi hai aur isay ugnay kay liye kafi garam mausam darkar hai. 


cucumber benefits in urdu
Qudrat ki yeh thandi sabzi aap ki khoobsurti mein izafah ka aik ahum sabab banti hai. Kheeray mein pani ki wafir moqdar mojood hai jiska tanasub 96% hai aur yeh aap kay jism ko bohut ziadah nami farahum kar skta hai khasoosan mausam garma mein kheere ka istemaal bohut ziadah karna chahiye. Iski paidawar bhi bohut ziadah hai aur yeh hamaray jism ko thandak aur tazgi puchata hai. Kheere mein shamil madiniyat jild ko jawan rakhti hain. Is mein potassium, magnesium aur silicon wafir hoti hain.

Kheera aankhon ko tar o tazah karta hai. Computer kay samnay kaam karnay say jab aankhein dukhnay lagein to thanday kheeray ki gol qashein kaat kar ankhein band kar kay apni palkon par rakh lein. Is tarah kheeray ki dafa sozish khasoosyaat ki wajah say na sirf aankhon ki thakawat ghaib hogi balkeh ankhon kay nichay jo choti choti theiliyan si ban jati hain aur ankhein suji huyi lagti hain, yeh shikayatein bhi raftah raftah door ho jayein gi.

Kheera balon aur nakhunon ko chamakdar banata hai. Is mein shamil hairat angez maddan (Silica) aap kay balon aur nails ko zidah chamakdar aur mazboot karta hai. Silica kay elawa kheere mein gandhak bhi hota hai jo balon ki afzaish mein ahum kirdar ada karta hai.

Kheera jism kay andar aur bahir ki garmi ko marta hai. Agar tezabyat kay bais aap kay bais aap kay sinay mein jalan ho rahi hai to kheera is ka madawa kar sakta hai. 

Agar tez dhoop aur loo ki way khaal surkh ho rahi hai aur jalan naqabil e bardasht ho chuki hai to kheera ko kuchal kar jism par mal lein thandak ka ahsaas ho ga.

Jism mein jo fasid maday jama hotay hain, kheera inhein bahir nikalnay mein madad deta hai. Kheeray mein shamil pani dar asal is jharoo ka kam karta hai jo jism ki tamam fazil paidawar ko bahir ka rastah dekhata hai. Yahan tak keh jo log baqaidgi say kheera khatay hain in kay gurday ki pathri bhi tehleel ho kar bahir nikal jati hai.

Kheeray mein tqreeban tamam zaroori vitamin mojood hain jin ki jism ko yomiyah bunyaad par zaroorat hoti hai. Vitamin A,B, aur C aap kay mudafati nizam ko tawana kartay hain, aap ko chaq o choband rakhtay hain aur tawanayi say bhar dete hain. Agar aap kheeray kay sath palak aur gajar ko bhi shamil kar kay in ka mushtarkah juice nika lein to yeh ziadah mufeed ho ga lekin kheyal rahe keh kheeray aur gajar ko cheel kar juicer mein na dalein is lie keh sirf in kay chilkay mein vitamin C ki itni moqdar hoti hai jo aap kay yomiyah sifarish kardah moqdar ka 12 % pura kar sakti hai.

Kheere say khana hazam karnay aur wazan kam karnay mein madad milti hai chun keh is mein pani bohut hota hai aur hararay na honay kay barabar hotay hain is liye kheera in logon kay liye ideal ghiza hai jo apna wazan kam karna chahtay hain. Apnay soup aur saladon mein dil khol kar kheera istemaal karein. Agar sada kheera aap ko psand nahi hai to phir kam chiknayi walay dahi mein is ki lambi qashein dubo kar nosh karein. Kheera chibanay se aap kay jabron ki bhi warzish ho jati hai aur is mein jo reshe hotay hain, in say khana hazam karnay mein madad militi hai. Jin logon ko aksar qabz ki shikayat hoti hai, vo rozanah kheera kha kar aazmayein. 

Kheere mein cancer ka moqablah karnay ki bhi salahiyut hoti hai. Is mein teen aqsam kay chimayi morakkabat(lignans) paye jatay hain jin kay naam yeh hain 1) secoisolariciresinol 2) secoisolariciresinol 3) pinoresinol yeh tino kimyayi markabat mukhtalif aqsam kay cancer ka khatrah ghatatay hain jin mein baizah dani, chati, prostest aur raham kay sartan shamil hain.

ziabitas, high cholesterol aur high blood pressure kay marizon ka liye kheera waqatan anmol hira hai. Kheere kay juice mein aik hormon shamil hota hai jis ki lablabay kay khalyaat ko insoleen ki paida war kay liye zaroori hoti . 

Kheeray mein shamil is hormon say ziabatish kay marizon ko bohut faidah ho skta hai. Research nay apni tehqeeq mein yeh bhi dekha hai keh kimyayi morakkabat sterols say khoon mein cholesterol ki satah ghat jati hai. Kheere mein dheer saray reshay potassium aur magnesium paye jatay hai. Yeh ghizaiyut bakhsh ajza bohut mowassar tariqay say blood pressure ko qaaboo mein rakhtay hain high blood pressure ko qaaboo mein rakhtay hain. High blood pressure kay elawah low blood pressure mein bhi isay istemaal kia ja ta hai.

Kheera munh kay amraaz say bhi mehfooz rakhta hai. Masoray agar soojay huye hain aur in say khoon rasta hai to kheere ka juice istemaal karein. Agar aap kay munh say badboo aati hai to kheere ki aik qash katein aur isay apni zuban ki madad say taloo par ½ minute tak dabaye rakhein, is mein say kharij honay walay phytochemicals jaraseem kay qala qama kar dein gay jo munh mein parwarish patay hain aur badboo dar sans ka bais bantay hain.

Joron kay dard aur gethya kay marieez bhi kheere say istefadah kar sktay hain. Chun keh kheeray mein silica ki wafir moqdar hoti hai is liye yeh joron ko jornay walay tissue ko sehat mand rakh kar joron ko bhi faidah punchata hai. Agar kheere aur gajar ka aik sath juice nikal kar piyein to is say gethya aur joron ka dar kam hoga kiun keh yeh juice khoon mein uric acid ki moqdar ghata deta hai.

Kheere ki uric acid kum karnay ki salahiyat ki wajah say gurday bhi sehat mand rehtay hain.

Agar subah so kar uthnay kay baad sar bhari rehta hai ya sar mein dard mehsoos kartay hain to bistar par janay say pehlay kheere ki chand qashein kha lein. Kheeray mein wafir moqdar vitamins B, shakkar aur alectoris hotay hain jo bohut si zaroori ghizaiaton ki kam puri kar detay hain.

No comments:

Post a Comment