Wednesday, 30 December 2015

Kheera Benefits In Urdu ( Kheera Ke Fayde )


Image result for ( Kheera Ke Fayde )

kheera (Cucumber) and (Long Melon) Kakri logon ki marghob ghiza mani jati hai. Is ka mizaj sard o tar hai. Yeh tabiyat mein farhat aur tazgi peyda karne wali sabzi hai. Is ki kaasht Miser, Yunnan, Rome, waghera tamam Countries mein bhi hoti hai. Is mein Potassium, Sodium, Magnesium, waghera bohat hote hain. Aik Cucumber mein 96 % water hota hai. Kheera (Cucumber) aur Long Melon ki ghizaeyyat is ke har 100 gram hisse mein is tarha hoti hai.

Ghizaeyyat :

96.3 % Moisture, 4 % Protein, 1 % Cholesterol, 3 % Iodine, 4 % Fiber, 2.5 % Nishasta. Iodine and Vitamin : 10mg Calcium, 25mg Phosphorus, 105mg iron, 70mg Vitamin C, little bit Vitamin B, 13 Calorie energy. Kheera Kakrhi ki sabzi kachi he Salad ki tarha khai jati hai. Is ki salad dikhane se zaiyqa bhi milta hai aur tabiyat ko farhat o tazgi bhi milti hai. Is se stomach bhi khob saaf hota hai aur urine bhi khul kar aata hai. Aik ya 2 Kheera (cucumber) daily khaya jata hai. Log is ka arq bhi nikal kar peete hain. Stomach mein gas problem, stomach ki jalan, meyde ka ulcer (injury), reham ke tumor, Masane ki ya Kidney ki pathri ke liye cucumber aur long melon ka muqabla koi dawa nahi kar sakti. Jitni miqdar mein log kha sake khaeyn. Is ka arq nikal kar har 2 hours par 100 ya 150 gram miqdar mein piyen. Yeh bohat faiyda karta hai.

Kheera (Cucumber) aur (Long Melon) ke seeds Almond, Munaqqa aur Melon (Kharboza), Water Melon ke seeds ke sath maghziyat keh kar hareera bana kar piya jata hai. Kheera, kakrhi ke seeds mein ajzaey lehmiya (Protein) Nishasta aur shakkar (Carbohydrate) aur Vitamin B aur C bohat paye jate hain. In seeds se oil bhi nikala jata hai aur dimagh ki kamzori mein lagaya jata hai. In seeds se bana huwa hareera purane Nazla, Zukaam aur jismani kamzoriyon aur neend ki kami waghera ke liye bohat mufeed hota hai.

No comments:

Post a Comment